Reason OF Mehendi design


Ye to hum sab jante hai ki her shub avsar per lagayi jati hai chaye wo shadi ho ya anya koi tyohar . bina mehendi ke her tyohar or fanction adhura hai

 

Ye to hum sab jante hai ki her shub avsar per  lagayi jati hai chaye wo shadi ho ya anya koi tyohar . bina mehendi ke her tyohar or fanction adhura hai ye hamara lifestyle ban chuka hai . India me mehendi ko bahut shub mana jata hai. Isiliye shadi me  mehendi ka ek alag se faction kiya jata hai jisme dulhan or dulhe dono ke mehendi lagai jati hai. Mehendi design kai prakar ke  hote hai jo ki hum aapko btane ja rahe hai .

Moroccan mehndi design

Moroccan Mehendi design apne khubsurat tarike karan sabse alag dikhne wale design hai. Kyoki ye apne unisex patern ke liye sabse jada jane jate hai. Adiwasi design ke sath sath ye jaimitye aakar, rekha, work, Moroccan ka anokha misran hai.

Western-style Mehendi Design

Paschimi  sanskriti ne bhi mehendi ko anukulit bnaya hai. Yaha ke log mehendi ke design me taitoo ka design bnate hai jo behad hi khubsurat dikhta hai , western design jaimitya akrityo se milkar taiyar kiye jate hai ye samkalin mehendi desing ko aajmane layak hai.

Indian Mehendi Design

Indian Mehendi design phele se hi lokpriye hai.ye design  bahut hi akarshit hote hai , ye design her umer ke logo ko akarshit karte hai aur kisi bhi umar ka vyakti in design ko laga sakta hai. India mehendi designs me her age group ke liye design hai.

 

Pakistani Mehendi Design

Pakistani mehendi designs me patte, full, masjid, gubund, our  bahut sari chize samil hoti hai. Ye design bahut hi pyare hote hai kyoki isme outline ki jati hai jiske karan ye har kisi ka maan moh lete hai .

Arabic Mehendi Design-

Arabic mehendi design shadi or party me bahut jada lagaye jate hai kyoki ye kam time me taiyar ho jate hai. Ye  moti outline or khali jagaho ke liye jane jate hai. Arabic mehendi design anya mehendi designs se alag hai kyo ki ye khadi desho se utpan hue hai